Srishti se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahin
Antariksh bhi nahin, aakaash bhi nahin thaa
chhipaa thaa kyaa, kahaan, kisne dhakaa thaa
us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa
Shrishti kaa kaun hain kartaa
Kartaa hain vaa akartaa
Oonche aakash mein rahtaa
Sadaa adhyaksh banaa rahtaa
Wohin sach mooch mein jaantaa..Yaa nahin bhi jaanata
Hain kisi ko nahin pataa
Voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan
Vohi to saare bhoot jaat ka swami mahaan
jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar
Jis ke bal par tejomay hai ambar
Prithvi hari bhari sthapit sthir
Swarg aour sooraj bhi sthir
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar
Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar
Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar
Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar
Aise kis devta ki upasana kare hum avi dekar
Om ! Srishti nirmata swarg rachayta purvaj rakhsa kar
Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar
Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par
Aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar
Aisi hi devta ki upasana kare hum avi dekar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
The second last line in one of the stanzas as given here is meaningless.
It has probably been copy pasted by the poster from other websites which repeat the same mistake.
“Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar” has no meaning.
The line should be “Jagaa jo devonkaa ekameva pran bankar” (that primordial principle which awoke as the one and only life force behind all gods, deities).
If one listens carefully with headphones it becomes very clear.
Post a Comment